Bhool Jaa!

a new beginning, tomorrow, optimistic, new journey

(I heard the below couplets some days back, they aren’t my creations.  But I loved the meaning of it and the message conveyed. Simply optimistic… too good!)

Kahaan aake rukne the raaste, kahaan mod tha, usse bhool jaa
Vo jo mil gaya usse yaad rakh, jo nahi mila, use bhool jaa!

Vo tere naseeb ki baarishe kisi aur chhat pe baras gayi,
Vo dil-e-beqaraari mein aankho se jo baras gaya, usse bhool jaa!!

… samjho sab kuchh sambhal gaya !!

dark-room.jpg

ik hawaa ka babula, uthte hi pighal gaya
ik ummid ka paudha, ugte hi kuchal gaya

ik dariya ki talaash mein, aakhri saans talak
ik hiran tha, jo sehra mein chalta hi chal gaya

ik umra kat gayi uski… haalaat ko badal ne mein
haalaat se bojhal… becharaa khud hi badal gaya

ik cheez suni hai… dosti kehte hai vo jise
thukra diya aakhir, jab matlab nikal gaya

ik bachpan ke khilone sa, dhool jamaa karne ko
rakh diya tha maale pe, jab zara sa dil bahal gaya

ik chot si khudurti hui, jism ke libas tale
ghaav naasoor bane, man aukal-be-kal gaya

ik hasi ka gubbara, kabhi lab par aaya hi nahi
ik khushi ka suraj tha jo saher mein hi dhal gaya

ik guldaste mein sajaa rakkhe the humne kai raaz apne
na chahte hue bhi aaj dil unhe lafzo mein udhel gaya

… ik baar saans ruk jaye, fir samjho sab kuchh sambhal gaya !!

ehsaas…

Image Courtesy: www.blacksunjournal.com

ehsaas

teri garm bahon ko aaj bhi odh kar sota hun main
teri saanso ki mahek se aaj bhi madhosh hota hun main
tere kesuon ko aaj bhi apni ungliyo se sehrata hoon main
teri rooh ke aaine mein khud ko aaj bhi dekh paata hoon main

tere jism ka ehsaas aaj bhi vaisa hi barkaraar hai
tere badan ki khushboo se aaj bhi dil ki duniya gulzaar hai
tere haath ko apni do hatheliyo mein rakhkar
nigahon se haal-e-dil sunane ka silsila bhi jaari hai

meri bezubaan aankhen teri silvato ka aaina bankar
mujhe roz saher mein jhinjhodke jagaa deti hai
main mehsus karta hoon ye sab, in ehsaaso ko jee nahi paata
Phir bhi, vo ehsaas hai jo zinda hai aaj bhi, sasns le raha hai

kaash hum thodi der aur saath jee paate, tum aur main,
khair, in ehsaaso ka main shukriya kaise karoon
ki tumhe ab tak mujhse jod ke rakhnewale vohi to hai
ye ehsaas hi to hai, jo humko jode rakhenge……… hamesha

Ummeed

This is a humble extension that I’ve tried out, of a wonderful piece of work which I had read on a friend’s blog. Please find a link to it at the end of this post.

962100287_m.gif

Dil mein arzoo ho gehri agar muskarane ki,
Nakaamyabi mein bhi vo shohrat dhoondh leti hai.

Manzil ka chehra saaf hai jo uski aankhon mein,
Pata-thikana khud-ba-khud dhoondh leti hai.

Itni guzaarish hai mere dost, tu maayus na hona.
Tujhko kya maaloom, teri muskurahat ko meri gazal dhoondh leti hai.

Kuch is tarah mohabbat kar ummeed-e-zindagi se,
Ki jaise teri har saans uski khushboo dhoondh leti hai.

Inspired by Ummeed at Nova‘s blog

Zaroori hai…

waverlight2.jpg

Kathin hai raaste magar, chalna zaroori hai
Lamba hai safar magar, tey karna zaroori hai

Apne sapno ko aankhon mein basaaye rakhunga
Aaj inme nami hai to kya hua, kal uska jharna zaroori hai

Hausle hil jaate hai raahon mein aksar
Par gir kar uthne ke liye, girna zaroori hai

Raaton ke sannate itne bhi nahi gehre,
Subah to honi hi hai, thoda intezaar zaroori hai

Iraade behek sakte hai, kadam bhi gumraah ho sakte hai
Manzil paane ka junoon atal hai magar, fir aur kya zaroori hai

Gar vishawas aur ummid saath hai to kuch namumkin nahi,
Aur hai bhi to uska mumkin hona zaroori hai

Jhoom uthega man jab sulajh jaayengi uljhane
Khushiya to milti hai sabko, par unhe rakh paana zaroori hai

Samna karo to Kuch nahi tikta der tak
Mushkile khud-hi to mitne se rahi, unse takrana zaroori hai

Jaanta hoon ki sabra ka imtehaan zaroor hoga
Azmaaish tabhi hoti hai, jab uska hona zaroori hai

Gar haarne ki fikra karu to shaayad abhi haar jaaunga
Mujhe to jeetna hai bas, marne tak ladna zaroori hai

Sirf baaton se kuch saabit nahi hota
Dum hai, to dikhana zaroori hai

Apni awaaz ko dabaneka main nahi aadi
Main zinda hoon aur zindaa nazar aana zaroori hai

Jaise…

fp_whiterose_lg1.jpg

Aapse milke mehsus hua…

Jaise hawaa ka narm jhonka
Jaise baarish ki pehli boond
Jaise baansuri ki dhun
Jaise bhini maati ki khushbu
Jaise resham ka sparsh
Jaise ek haseen raaz
Jaise shayar ki nazm
Jaise khushiyon ka mausam
Jaise sardi ki dhoop
Jaise ummidon ka karvaan
Jaise safalta mein duba sangharsh
Jaise pyaar ka pehla aansu
Jaise rangon se saja aasman
Jaise sundarta ki moorat
Jaise barfile pahaad ki chotiyan
Jaise maasumiyat ki soorat
Jaise ek anmol khwaab
Jaise dhadakta hua dil
Jaise nishabd alfaaz
Jaise sheetal pani
Jaise trupt hoti pyaas
Jaise premiyo ki katha
Jaise armaano ka gulshan
Jaise premika ka bazm
Jaise santusht man
Jaise kaatil adayein
Jaise kashmir ki vaadiyan
Jaise pawan chakora
Jaise shantivan ki dopahar
Jaise jeet ki anubhuti
Jaise shahenshah-e ruaab
Jaise manzil paane ka junoon
Jaise adbhut kalakruti
Jaise gehri nigahein
Jaise saje hue shaamiyane
Jaise lehron ka sangeet
Jaise atoot bandhan
Jaise sukhmay saher
Jaise mrug ke nayan
Jaise mere gaon ki vo shaam
Jaise madmast khushboo
Jaise sona roop sunehra
Jaise jhoomti hui rooh
Jaise khilta hua phool
Jaise kavi ki kavita
Jaise panchhiyon ke geet
Jaise ujla savera
Jaise sandhya ki chaadar
Jaise gul-e-gulzaar
Jaise pyaar ka pehla khat
Jaise mehbooba ka sandesh
Jaise naya jeevan
Jaise gehra yaarana
Jaise khamosh raat
Jaise sant ki vaani
Jaise shaant bhor
Jaise pyaara sa man-meet
Jaise mahekti saanse
Jaise suljha hua sawaal
Jaise pipal ki chhaanv
Jaise kudrat ka chitra
Jaise vishwaas ka dariya
Jaise sapno ka ghar
Jaise pighalta hua sama
Jaise baalak ka hasya
Jaise kabir ke dohe
Jaise surmayi naina
Jaise kamyaabi ka jashn
Jaise saat suro ka sangam
Jaise mandir mein jalte diye
Jaise bhakt ki upasna
Jaise rishiyon ki tapasya
Jaise pranay ki agni
Jaise saral sanjog
Jaise ankahee dastaan
Jaise behte paani ka jharna
Jaise udte hue khayaal
Jaise saadgi ka libaaz
Jaise chadhta hua nasha
Jaise kathinaiyon ka ant
Jaise moksh ki praapti
Jaise khwaabo-khayaali
Jaise durust raahein
Jaise humsafar ka saath
Jaise swarg ki apsara
Jaise aanewala kal
Jaise jhoomte jazbaat
Jaise khushiyo ka tyohar
Jaise gunjta hua samandar
Jaise saahil pe pohchi hui naav
Jaise gaurav ka bhes
Jaise machalte mansoobe

aur jaise… ek umra jeene ka ehsaas!

Vo yun aaye, ki laga
jaise phirse saans le li humne

haar-jeet ki as-man-jas mein
maut se, zindagi jeet li humne…

hum shukr-a-guzaar hai humare, ki
unse mohabbat kar li humne…!

Posted in Aaina. 4 Comments »

Is raat ki subah nahin?

memory-graph.jpg

kuchh beetein hue palon ki taqeed hai
ya kuchh adhuri khwahisho ka hisab
chand haseen yaadon ka gubar hai shaayad

na nikah hai na meri maiyat
na ummiden na tamanna-e betaab hai
zindagi ka sirf ek pal hai shaayad

phir kyun khaas hai ehsaas is pal ka
kuchh aise hi pal jo chhoot gaye hai kahin
unhi palon ka aaghaz hai shaayad

vo zamaana alvida ho gaya kabse
jab aapas mein lafz girte aur hansi chhalakti rehti thi
ab to batiyaan ne ko bhi kaazi bulaenge shaayad !!

Main kuch bhi kahan chahta hoon…??

ghazalpost1.jpg 

Har khushi se dur, har gham ke karib main rehna chahta hoon,
Bas ek apne aap mein, aur dusre tanhai mein main rehna chahta hoon.

Na pyaar ka ehsas ho kabhi, ki ilzamon se ghir jaoon nahin,
Is se pehle ki koi saza de, khud hi ko saza main dena chhta hoon.

Gar koi gunah hua ho kabhi mujhse, shayad isliye,
Mulzim kehlane se pehle, khud ko mujrim karar main karna chahta hoon.

Yeh fizul ke yaarane, be-matlab ranjishein aur katl-e-armaan,
Na vaadon ka ehsaan, na ummidon ka udhar main lena chahta hoon.

Vo pyaar ki baatein, doston ki guft-a-goo aur hasne-hasane ki mehfilein,
Ab choodo ye baatein, bas ghame-e-tanhai mein mast main to rehna chahta hoon.

Mere bhitar jhaank kar, dabi-chhipi aawaz na sunle koi,
Har baat na sunle koi, jaane kisse kya main kehna chahta hoon.

Toofan se kaun darta hai aye khuda, lekin,
Maujo mein bhi to kahan main behna chahta toon.

Ghazal ye marham hoti jo, dard-e-dil ka har ghav bhar jata,
Ab iske siva kya kahoon, ki sirf dard main sehna chahta hoon.

Kuch aisa kar loon ki, zamaanaa yaad rakkhe mujhko,
Fir aye maalik, bas teri god mein main sona chahta hoon.

Har sham yaad hai sharaab-wali, doston-dushmano ke sath-wali,
Bohot hua auron ke sath be-wajah ab to, bas khud hi pina, khud hi ko main pilaana chahta hoon.

Khushi, main chahoon na chahoon, ummidon ko dafan bhi kar dun gar,
dard-e-talab bujh jati hai kaise, kambakht kuch bhi kahan main bujhana chahta hoon.

Wajood-e-khushi-e-hayaat dhoondte hue, abroo-e-imaan-e-chain kho baithe,
ab likhte nahi to kya karte, kisiki humdardi bhari nigaah kahaan main paana chahta hoon.

Koi naam puchhe to, malum nahi kehna,
Nahin kisiko gumrah, main karma chahta hoon.

Bayan-e-haal-e-dil hai ye faqat, nahin tumse mukabla-e-shor, aye GHALIB,
Gustakhi zarur hai, lekin Kahan kisise yaari ya dushmani, ab main karna chahta hoon.

Posted in Aaina. 20 Comments »